Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai Bachaa vaha aaj bhi chaand ko chanda mama kehta hai Jis desh mein ganga rehta hai Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai Bachaa vaha aaj bhi chaand ko chanda mama kehta hai Jis desh mein ganga rehta hai
Gaaon ka panghat, panghatka paani Bhare gagariya koi deewani Thandi thandi purwaayi mein meethi meethi khushboo Mat poocho us khushboo mein hota hai kaisa jadoo Jadoo aisa hota hai ke har koi jhoomta rehta hai Jis desh mein
Ganga rehta hai Jis desh mein ganga rehta hai
Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai
Dil mein basaakar gaaon ki mamta Shaher mein aaya main jogi ramta Dil mein basaakar gaaon ki mamta Shaher mein aaya main jogi ramta Sukh dukh saare maan kar aur unko apna kar Tarah tarah ke naaton se ghar ban jaata hai soondar Pal pal sachche rishton ka vahan pyaar barasta rehta hai Jis desh mein ganga rehta hai Jis desh mein ganga rehta hai Bhabhi kangan khankaati hai aur maa loriyaan gaati hai Madham madham si pawan chale, koyaliya geet sunaati hai Bachaa vaha aaj bhi chaand ko chanda mama kehta hai Jis desh mein ganga rehta hai