Tu kya mil gayi yeh samaa rangeen ho gaya Sehra mein jaise khil gaya ho gul naya Ae meri jaane jaan, hai tujhe kya pataa Tere husn ka mujhpe nasha chhaa gaya Mujhpe nasha chhaa gaya (Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye)
Haan, ho
Aaj kal kya bataaoon, madhosh ho gayi hoon Mehsoos ho raha hai, main kahin kho gayi hoon
Khoya mera bhi dil hai, bechain yeh dhadkan hai Kya yehi hai mohabbat, kaisa deewanapan hai
Ae mere jaane jaan, hai tujhe kya pataa Haal mere bhi dil ka hai kuch aap sa Dil ka hai kuch aap sa Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye
Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye
Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye
Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye
Tune jo chhoo liya to khil gayi dil ki kaliyaan Teri aankhon mein mujhko mil gayi meri duniya
Yun to laakhon haseen hai, tujhsa koi nahin hai Jiski khwaaish thi mujhko, jaane jaan tu vohi hai
Ae mere jaane jaan, sun tera shukriya Mil gaya tere dil mein mujhe aashiyaan Dil mein mujhe aashiyaan
Ae meri jaane jaan, aa gale se lagaa Daake mil jaaye mujhko zameen aasmaan Mujhko zameen aasmaan Mohabbat, mohabbat, mohabbat
Qayaamat, qayaamat, qayaamat
Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye
Tu kya mil gaya yeh samaa rangeen ho gaya Sehra mein jaise khil gaya ho gul naya Ae mere jaane jaan, hai tujhe kya pataa Tere ishq ka mujhpe nasha chhaa gaya Mujhpe nasha chhaa gaya
(Hey eh eh eh) Mohabbat, mohabbat
Qayaamat, qayaamat
Mohabbat, mohabbat Qayaamat, qayaamat
Mohabbat, mohabbat, mohabbat ho na jaaye Qayaamat, qayaamat, qayaamat aa na jaaye