aaya hain jismein ghar ki khushbu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain padhte padhte bheegi palken aankhon se chhalka aansu hain aansu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain
iss baar piya tum na aana yeh gham hum tum seh lenge iss baar piya tum na aana yeh gham hum tum seh lenge kuchh paise bach jaayenge bititya ke jewar le lenge likhte likhte ankh bhar aayi dil pe kiska kaabu hain kaabu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain
budhi maan ki budhi aankhen dekhe yeh ghar ka har kona budhi maan ki budhi aankhen dekhe yeh ghar ka har kona bete ki thaali roz parose jaane kis din ho aana pal pal maan ka dil rota hain mamata toh bekaabu hain bekaabu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain
woh peepal ki chaanv ghaneri duaaon jaisa apana ganv woh peepal ki chaanv ghaneri duaaon jaisa apana ganv tumko pukaare ganv ki galiya mehakte saare phool aur kaliyaan birah ki raaten katt jaayegi hone ko roshan jugnu hain jugnu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain padhte padhte bheegi palken aankhon se chhalka aansu hain aansu hain pyar bhara ek khat aaya hain jismein ghar ki khushbu hain