Main agar saamne aa bhi jaaya karoon Laazmi hai ke tum mujhse parda karo Apni shaadi ke din ab nahin door hai Main bhi tadpa karoon, tum bhi tadpa karo
Badi mushkil hai, yeh mera dil hai Tum hi kaho kaise main chup rahoon Tum agar saamne aa bhi jaaya karo Laazmi hai ke main tumse parda karoon Apni shaadi ke din ab nahin door hai Main bhi tadpa karoon, tum bhi tadpa karo
Badi mushkil hai, yeh mera dil hai Tum hi kaho kaise main chup rahoon
Tum agar saamne aa bhi jaaya karo Laazmi hai ke main tumse parda karoon
Sataane ke manaane ke Yeh din hai aazmaane ke Zara samjha karo dilbar, tumhe meri kasam
Yehi meri hai majboori Sehi jaaye na ab doori Mera kya haal hai kaise bataaoon main sanam
Zameen hogi, gagan hoga Tera mera milan hoga Main agar tumse nazrein milaaya karoon Laazmi hai ke tum mujhse parda karo
Main duniya se chala jaaoon Kabhi na lautke aaoon Karogi kya akele tum, bataao dilrooba
Main rab se chheen laaoongi Tujhe apna banaaoongi Chalegi saans jab tak yeh na honge hum judaa
Na apni yeh kasam toote Jo rab roothe to rab roothe Main agar tumko milne bulaaya karoon Laazmi hai ke tum mujhse parda karo Apni shaadi ke din ab nahin door hai Main bhi tadpa karoon, tum bhi tadpa karo
Badi mushkil hai, yeh mera dil hai Tum hi kaho kaise main chup rahoon
Main agar saamne aa bhi jaaya karoon Laazmi hai ke tum mujhse parda karo