Chipak-chapak ke chalti hain Kabhi kabhi do raahein Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi taqleefein Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum Ho tera-mera, mera-tera Tera-mera, mera-tera qissa atrangi Kabhi-kabhi chalti hai Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi
Kashmir main tu Kanyakumari North-South ki kat gayi dekho doori hi saari Kashmir tu main kanyakumari Fifty-fifty har situation mein hissedari
Ek taraf to jhagda hai, saath phir bhi tagda hai Do kadam chalte hain to lagta hai aath hain Do tarah ke flavour, sau tarah ke tevar Dar-badar firtein hain ji phir bhi apni thaath hai
Kashmir main, tu Kanyakumari Uttar ne dakshin ko aflatoon aankh maari Kashmir tu, main Kanyakumari Tel bechne jaaye toh phir yeh duniya saari Hey hey
Main zara sa puncture to tu hawa ke jaisi hai Sath ho to pahiye taqdeeron ke tight ho Bulb ban jaaun main aur tu switch ban jaa Bhaad mein jaaye duniya apni batti light ho
Kabhi-kabhi chale seedhe kabhi mud jaayein Kabhi-kabhi paidal kabhi ud jaayein Humein dekh zamane walon ki chaahe naak sikud jaye
Kashmir main, tu Kanyakumari Halke-fulke packet mein dekho mushqil bhari Kashmir tu, main Kanyakumari Hindi mein gustakhi hai to English mein sorry
Chipak-chapak ke chalti hain Kabhi kabhi do raahein Jude-jude kuch aise ki laga ho jaise gum Double-double hoti thi jo kabhi-kabhi taqleefein Kisi ke sang mein chalne se hui half se kum Ho tera-mera, mera-tera Tera-mera, mera-tera qissa atrangi Kabhi-kabhi chalti hai Kabhi-kabhi rukti kahani bedhangi
Kashmir main, tu Kanyakumari North-South ki kat gyi dekho doori hi saari Kashmir tu, main Kanyakumari Fifty-fifty har situation mein hissedari