Sannate ki gehri chhanv Khaamoshi se jalte gaanv Ye nadiyon par toote huey pul Dharti ghaayal aur vyaakul Ye khet gamon se jhulse huey Ye khaali raste sehme huey Ye maatam karta saara samaa Ye jalte ghar ye kaala dhuaan Ye jalte ghar ye kaala dhuaan Hoho..
Hmmm.. Mere dushman mere bhai mere humsaaye Mere dushman mere bhai mere humsaaye Mujhse tujhse hum donon se ye jalte ghar kuchh kehte hain Barbaadi ke saari manzar kuchh kehte hain Hay.. Mere dushman mere bhai mere humsaaye Hoho...
Hmmm.. Baarood se bojhal saari fiza Hai maut ki dhoop hai laati hava Zakhmon pe hai chhaayi laachaari Dariyon mein hai khilti beemaari Ye marte bachche haathon mein Ye maaon ka rone raaton mein Murda basti murda hai nagar Chehre patthar hain dil patthar Chehre patthar hain dil patthar Hoho..
Hmm.. Mere dushman mere bhai mere humsaaye Mere dushman mere bhai mere humsaaye Mujhse tujhse hum donon sun ye patthar ghar kuchh kehte hain Barbaadi ke saari manzar kuchh kehte hain Hay.. Mere dushman mere bhai mere humsaaye Hoho...
Hmmm.. Mere dushman mere bhai mere humsaaye Chehron ke dilon ke ye patthar ye jalte ghar Barbaadi ke saare manzar sab mere nagar sab tere nagar Ye kehte hain Is sarhad par pulkaarega kab tak nafrat ka ye ajgar Kab tak nafrat ka ye agrak Is sarhad par pulkaarega kab tak nafrat ka ye ajgar Hum apne apne kheton mein gehoon ki jagah chaawal ki jagah Ye bandookein kyon bote hain Jab donon hi ki galiyon mein kuchh bhookke bachche rote hain Kuchhbhookhe bachche rote hain Aa khaayein kasam Ab jung nahin hone paaye Aa khaayein kasam Ab jung nahin hone paaye Aur us din ka rasta dekhein Jab khil uththay tera bhi chaman Jab khil uththay mera bhi chaman Tera bhi watan mera bhi watan Mera bhi watan tera bhi watan Tera bhi watan mere bhi watan
Hoho.. Mere dost mere bhai mere humsaaye Mere dost mere bhai mere humsaaye Hoho.. Hmmm.. Aaa...