Hemlata
Página inicial > H > Hemlata > Khushiyaan Hi Khushiyaan

Khushiyaan Hi Khushiyaan

Hemlata


Khushiyaan hi khushiyaan ho daaman me jiske
Kyon na khushi se woh deewana ho jaaye
Aise mubarak mauke par saathi
Pesh duaon ka nazraana ho jaaye

Der se samjha humko zamana
Shukar karo samajh to gayaa
Sang rahneka khwaab suhana
Ban ke haqeeqat saj to gayaa
Tum jo kaho to sari mehfil se keh de
Palbhar mein mash-hoor afsaana ho jaaye
Khushiyaan hi khushiyaan....

Koi kya jane humne kya kya
Khel rachaaye tumhare liye
Hum bhi kaisi kaisi manzil
chod ke aaye tumhare liye
Kaliyaan hi kaliyaan mehka do aise
Ke abaad dil ka veerana ho jaye
Khushiyaan hi khushiyaan....

Hans ke humri har bhool bhula dena
Hum hai tumhre jab chahe bula lena
Apno ki is mehfil mein ab
Kaam hai kya begaanon ka
Yeh duniya kya mol karegi
Ek muflees ke armaanon ka
Itni si hai bas apni tamanna
Dil teri khushiyon ka parwaana ho jaye.
Khushiyaan hi khushiyaan ......

Encontrou algum erro na letra? Por favor, envie uma correção >

Compartilhe
esta música

Ouça estações relacionadas a Hemlata no Vagalume.FM

Mais tocadas de Hemlata

ESTAÇÕES