--MALE-- Phoolon mein jo khushboo hai kaise voh aati hai Titli kahan se yeh saare rang laati hai Hawa ko basuri banaati hai sangeet kaise Koyal ne sikhe hai yeh itne pyaare geet kaise Hai yeh ajoobe lekin ek aur ajooba hai Dharti se, ambar se, parvat se, saagar se Humne suna pyaar ajooba hai, oh Pehli nazar mein hi jo do dilon mein ho Har voh qaraar ajooba hai, oh
--FEMALE-- Phoolon se jo khushboo aaye ajooba hai Titli jo saare rang laaye ajooba hai Basuri ka yeh sangeet ajooba hai Koyal jo gaati hai geet ajooba hai
--MALE-- Yeh bhi hairaan hai, aisa bhi ek ajooba hai Ta da da da da da, ta da da da da da Ta da da da da da da da
--FEMALE-- Ooh
--MALE-- Ta da da da da da, ta da da da da da Ta da da da da da da da
--FEMALE-- Daali mein mahek hoti hi nahin Kaliyon mein mahek aa jaati hai Yeh bhi ajooba hi hai Saagar se ghata jo uthti hai Meetha paani barsaati hai Yeh bhi ajooba hi hai
--MALE-- Jungle mein jugnu ko, dekho to yeh socho Yeh roshni is mein aayi kaise Tan mein jo hai jaan, voh kis tarah hai Mann mein hai armaan, to kis tarah hai Keh bhi do yeh bhi to, koi ajooba hai
--FEMALE-- Dharti se, ambar se, parvat se, saagar se Humne suna pyaar ajooba hai, oh Pehli nazar mein hi jo do dilon mein ho Har voh qaraar ajooba hai, oh
--MALE-- Phoolon se jo khushboo aaye ajooba hai
--FEMALE-- Titli jo saare rang laaye ajooba hai
--MALE-- Basuri ka yeh sangeet ajooba hai
--FEMALE-- Koyal jo gaati hai geet ajooba hai
--MALE-- Yeh bhi hairaan hai, aisa bhi ek ajooba hai
Kehne ko saath ajoobe hai Par shaayad log yeh bhoole hai Ek aur ajooba bhi hai Resham resham, chandan chandan Tera maheka maheka yeh badan Koi ajooba bhi hai Aankhon ke neele darpan, honton ka yeh bheegapan Yeh roop tera, ajooba yeh to hai Baahon ki garmi, yeh bhi ajooba hai Aankhon ki narmi, yeh bhi ajooba hai Yeh chaman sa badan koi ajooba hai Dharti se, ambar se, parvat se, saagar se Humne suna pyaar ajooba hai
--FEMALE-- Pehli nazar mein hi jo do dilon mein ho Har voh qaraar ajooba hai
--MALE-- Phoolon se jo khushboo aaye
--FEMALE-- Ajooba hai
--MALE-- Titli jo saare rang laaye
--FEMALE-- Ajooba hai
--MALE-- Basuri ka yeh sangeet
--FEMALE-- Ajooba hai
--MALE-- Koyal jo gaati hai geet
--FEMALE-- Ajooba hai
--MALE-- Yeh bhi hairaan hai jispe tum voh ajooba ho
--BOTH-- La la la la la la, la la la la la la La la la la la la la la La la la la la la, la la la la la la La la la la la la la la