Vo sikandar hi doston kehlaata hai Haari baazi ko jeetna jise aata hai Niklenge maidan mein jis din hum jhoomke Dharti dolegi ye kadam choomke
Hey vo sikandar hi doston kehlaata hai Haari baazi ko jeetna jise aata hai Niklenge maidan mein jis din hum jhoomke Dharti dolegi ye kadam choomke
Jo sab karte hain yaaron vo kyon hum tum karein Yoonhi kasrat karte karte kaahe ko hum marein Gharwaalon se teacher se bhala hum kyon darein Yahan ke hum sikandar Chaahein to rakh lein sab ko apni jeb ke andar Arre humse bachke rehna mere yaar Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai Haari baazi ko jeetna humein aata hai
Ye galiyan apni ye raste apne kaun aayega apne aage Hey raahon mein humse takrayega jo hat jayega vo ghabraake Yahan ke hum sikandar Chaahein to rakh lein sab ko apni jeb ke andar Arre humse bachke rehna mere yaar Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai Haari baazi ko jeetna humein aata hai
Ye bholi bhaali matwaali pariyan jo hain ab daulat pe qurbaan Jab keemat dil ki ye samjhengi to humpe chhidkengi apni jaan Yahan ke hum sikandar Chaahein to rakh lein sab ko apni jeb ke andar Arre hum bhi hain shehzaade gulbaag Nahin samjhe hai vo humein to kya jaata hai Haari baazi ko jeetna humein aata hai
Niklenge maidan mein jis din hum jhoomke Dharti dolegi ye kadam choomke Hey niklenge maidan mein jis din hum jhoomke Dharti dolegi ye kadam choomke