Jo kuch b seekha Ghaltiyon se hi to seekha mene Khud ko sambhala Gir k hi to uthna seekhe mene Jab bhi bikhri to Bikhar k simatna seekha mene Jab khwaab toote tbhi Unko poora krna seekha mene
Kbhi to me bhi nazuk si kali thi Kabhi to me bhi baba ki pari thi Raston pe dar dar k hi to chali thi Duniya jo kehti manti me sahi thi
Pr qismat ne jo diya tha wo muqaddar me Akele tha chalna zindgi ke safar me Apni mehnat se aj me khari apne pairon pe Isi jazbe se aj hua khud pe fakhr he Asar he ye mjhpe logon ki baton ka Faraq he ye soch or duniya ki nazron ka Duniya to bolti thi bolti rahegi ye Himmat ka he parwana parwaz he hoslon ka
Akele hi kata mushkil se mene mushkil waqt Ghar me theri aurat bahar nikalte bani mard Tanqeed ka nishana banti rahi har waqt Khud ko mazboot rakha chupaya mene har dard
Mazdoori se shurwat rangon me aake tiki me Aurat ho k b me apni madad aap bani me Log peeche bole pr bure waqt me koi na poochta Pr jab tak he sans mehnat se kbhi na thaki me
Kab tak rahun invisible zanjeeron me Himmat ki chamak he hathon ki Lakeeron me Kab tak krun phool ban k kanton ka saamna Kanto ko katne k liye kulhari bnu me