Ghulam Ali
Página inicial > G > Ghulam Ali > Zakm-e-tanhaayi Mein Kushbuu-e-hina Kisaki Thi

Zakm-e-tanhaayi Mein Kushbuu-e-hina Kisaki Thi

Ghulam Ali


zakm-e-tanhaayi mein kushbuu-e-hina kisaki thi
saaya diwaar pe mera tha sada kisaki thi

aansuon se hi sahi bhar gaya daaman mera
haath to mainne uthaaye the duwa kisaki thi

meri aahon ki zabaan koyi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere siva kisaki thi

chhod di kisake liye tuune ' muzaffar' duniya
justazu si tujhe har waqt bata kisaki thi

usaki raftaar mein lipati rahin meri aankhein
usane mud kar bhi na dekha ki wafa kisaki thi

waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aaya hai
main andhera jise samajha wo qaba kisaki thi

aag se dosti usaki thi jala ghar mera
di gayi kisako saza aur kata kisaki thi

mainne binaayiyaan bokar bhi andhere kaate
kisake bas mein thi zamin aab-o-hawa kisa

Encontrou algum erro na letra? Por favor, envie uma correção >

Compartilhe
esta música

Ouça estações relacionadas a Ghulam Ali no Vagalume.FM

Mais tocadas de Ghulam Ali

ESTAÇÕES