Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se
Mussbir khud pareshaan hai ke yeh tasveer kiski hai Banogi jisski tum aisi haseen taqdeer kiski hai Kabhi woh jal raha hoga kabhi khush ho raha hoga Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se
Zamaane-bhar ki masti ko nigaahon mein sameta hai Kali se jism ko kitni bahaaron mein lapeta hai Hua tumsa koi pehle na koi doosra hoga Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se
Farishte bhi yahaan raaton ko aa kar ghumte honge Jahaan rakhti ho tum paanv jageh woh chumte honge Kiske dil pe kya guzri yeh wohi jaanta hoga Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se