M: Yeh parda hata do, zara mukhda dikha do Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin Arre, hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin F: O majnu ke nana mere peechhe na aana Jaa pyaar karne waale teri khair nahin Arre, o hum pe marne waale teri khair nahin M: Yeh parda hata do...
M: Ek to surat pyaari upar se gusse ki laali Bachna ae dil aaj hai koi bijli girne waali F: Yeh bijli giri to tumhi pe giregi Jaa pyaar karne waale teri khair nahin Arre o hum pe marne waale teri khair nahin M: Yeh parda hata do...
F: Shukhar karo ke pade nahin hai mere maa ke dande Ek haath mein ho jaate armaan tumhaare thande M: Maa ko bhi samjha do, bas itna bata do Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin Arre, hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin F: O majnu ke nana...
M: Jahaan mile do jawaan nazar hoti taqraar vahin hai Dil par rakhkar haath yeh keh do humse pyaar nahin hai F: Dil ki baatein dilwaale nazron se hi pehchaante Lekin kuch aise hai anari jo yeh bhi na jaante M: Yeh pehle bataate baaraat leke aate Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin Arre hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin F: O majnu ke nana...
Both: Hum pyaar karne waale hai, koi ghair nahin Arre hum tum pe marne waale hai koi ghair nahin M: Yeh parda hata do