Ek dil hai Ek jaan hai Dono tujhpe Dono tujhpe qurbaan hain
Ek main hoon, ek imaan hai Dono tujhpe haan tujhpe Dono tujhpe qurbaan hain
Ek dil hai
Aa Ishq bhi tu mera pyar bhi tu Meri baat zaat jazbaat bhi tu Parwaaz bhi tu rooh-e-saaz bhi tu Meri saans nabz aur hayaat bhi tu
Mera raaz bhi tu Pukhraj bhi tu Meri aas pyaas aur libaas bhi tu Meri jeet bhi tu, meri haar bhi tu Mera kaaj raaj aur mizaaj bhi tu
Mere ishq ke, har maqaam mein Har subah mein, har shaam mein Ik rutba hai, ek shaan hai Dono tujhpe haan tujhpe Dono tujhpe haan tujhpe Dono tujhpe qurbaan hain
Ek dil hai Ek jaan hai Dono tujhpe Dono tujhpe qurbaan hain